Phir to bhai, yeh daakuon k sardar hi huye na? In par aitebar karna hi bewkoofi hai.

Hiundustan sarkar ne aam janta ko in daakuon se protect karne ka qafi system banaye baghair hi in logon ki loot ko allow kar diya hai - yeh hi hamarey desh ki sabh se badi samasiya hai.

Hamare leader, banate to hamari voton ke aasrey hain, maghar hamare interest ke bhagidar banane ki bajai, beopariyon ki loot ke bhagidar banana ziyada faidemand samjhte hain.

Phir bhi Bharatmata ki jai bolna to hamara dharam hai na?